yaad bhī us kī ḳhvāb kī sī hai
ek laḌkī hijāb kī sī hai
chūmtā huuñ savāb jaan ke maiñ
tū muqaddas kitāb kī sī hai
jo milī hai savāb kī ḳhātir
ziist vo bhī 'azāb kī sī hai
us meñ ḳhushbū rahī na rang rahā
ab vo sūkhe gulāb kī sī hai
zikr terā 'atā' ke she'r meñ hai
tū ġhazal par shabāb kī sī hai
yaad bhi us ki KHwab ki si hai
ek laDki hijab ki si hai
chumta hun sawab jaan ke main
tu muqaddas kitab ki si hai
jo mili hai sawab ki KHatir
zist wo bhi 'azab ki si hai
us mein KHushbu rahi na rang raha
ab wo sukhe gulab ki si hai
zikr tera 'ata' ke she'r mein hai
tu ghazal par shabab ki si hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.