yaad-e-firaq-e-yar tera shukriya bahut
yād-e-firāq-e-yār tirā shukriyā bahut
kal raat dil meñ dard hamāre uThā bahut
kal raat tere ġham ne lagā.ī thī phir sabīl
kal raat ham ne zahr-e-halāhal piyā bahut
muddat ke baad phir se mulāqāt ho ga.ī
ham ko udaas dekh ke royā kiyā bahut
shāyad nasīm terā badan chhū ke aa.ī thī
apnī sahar meñ rañg-e-qayāmat rahā bahut
'ajmal' na aap sā bhī koī saḳht-jāñ milā
dekheñ haiñ ham ne yuuñ to sitam-āshnā bahut
yaad-e-firaq-e-yar tera shukriya bahut
kal raat dil mein dard hamare uTha bahut
kal raat tere gham ne lagai thi phir sabil
kal raat hum ne zahr-e-halahal piya bahut
muddat ke baad phir se mulaqat ho gai
hum ko udas dekh ke roya kiya bahut
shayad nasim tera badan chhu ke aai thi
apni sahar mein rang-e-qayamat raha bahut
'ajmal' na aap sa bhi koi saKHt-jaan mila
dekhen hain hum ne yun to sitam-ashna bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.