yaad hai ghar ki diwaron ko sahaara karna
yaad hai ghar kī dīvāroñ ko sahārā karnā
un se rātoñ meñ faqat zikr tumhārā karnā
jaane vaale ne abhī raḳht-e-safar bāñdhā hai
tum bhī ab zahr-e-judā.ī ko gavārā karnā
ghar kī dahlīz pe rakh denā diyā jaltā huā
lauT aane kā bas itnā hī ishāra karnā
aql samghā.egī dil lagtī dalīleñ de kar
phir bhī hargiz na kabhī ishq dobāra karnā
us ne tasvīr mujhe dī hai ye kah kar 'sīmā'
achchhī yādoñ se na hargiz tū kināra karnā
yaad hai ghar ki diwaron ko sahaara karna
un se raaton mein faqat zikr tumhaara karna
jaane wale ne abhi raKHt-e-safar bandha hai
tum bhi ab zahr-e-judai ko gawara karna
ghar ki dahliz pe rakh dena diya jalta hua
lauT aane ka bas itna hi ishaara karna
aql samghaegi dil lagti dalilen de kar
phir bhi hargiz na kabhi ishq dobara karna
us ne taswir mujhe di hai ye kah kar 'sima'
achchhi yaadon se na hargiz tu kinara karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.