yaad hai pahle-pahal ki wo mulaqat ki baat
yaad hai pahle-pahal kī vo mulāqāt kī baat
vo maze din ke na bhūle haiñ na vo raat kī baat
kabhī masjid meñ jo vaa.iz kā bayāñ suntā huuñ
yaad aatī hai mujhe pīr-e-ḳharābāt kī baat
yaad piirī meñ kahāñ ab vo javānī kī tarañg
sub.h hote hī hameñ bhuul ga.ī raat kī baat
shaiḳh jī majma-e-zindāñ meñ nasīhat kaisī
kaun suntā hai yahāñ qibla-e-hājāt kī baat
haa.e phir chheḌ diyā zikr adū kā tum ne
phir nikālī na vahī tark-e-mulāqāt kī baat
jab liyā ahd shab-e-vasl kahā is ne 'hafīz'
sub.h ko yaad rahegī ye hameñ raat kī baat
yaad hai pahle-pahal ki wo mulaqat ki baat
wo maze din ke na bhule hain na wo raat ki baat
kabhi masjid mein jo waiz ka bayan sunta hun
yaad aati hai mujhe pir-e-KHarabaat ki baat
yaad piri mein kahan ab wo jawani ki tarang
subh hote hi hamein bhul gai raat ki baat
shaiKH ji majma-e-zindan mein nasihat kaisi
kaun sunta hai yahan qibla-e-hajat ki baat
hae phir chheD diya zikr adu ka tum ne
phir nikali na wahi tark-e-mulaqat ki baat
jab liya ahd shab-e-wasl kaha is ne 'hafiz'
subh ko yaad rahegi ye hamein raat ki baat
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-65 Page Number-107)
- Author : Tufail Ahmad Ansari
- Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.