yaad ka rog mat laga pyare
yaad kā rog mat lagā pyāre
ahd-e-māzī ko bhuul jā pyāre
jī bahaltā nahīñ tasavvur se
tū kabhī sāmne bhī aa pyāre
naam ke rah ga.e haiñ duniyā meñ
dost ahbāb aqrabā pyāre
ye bhī ik tarz-e-ġham-gusārī hai
tū mirā hausla baḌhā pyāre
shīsha-e-dil ko toḌne vaale
tū ne achchhā nahīñ kiyā pyāre
jazba-e-shauq mar na jaa.e kahīñ
ehtiyātan hī ruuTh jā pyāre
peḌ se gir ke zard pattoñ ne
bhar diyā farsh kā ḳhalā pyāre
terā ġham bhī ġham-e-zamāna bhī
ġham bhī ḳhālis nahīñ rahā pyāre
aas ke diip to jalā 'nusrat'
shaam kā vaqt ho chalā pyāre
yaad ka rog mat laga pyare
ahd-e-mazi ko bhul ja pyare
ji bahalta nahin tasawwur se
tu kabhi samne bhi aa pyare
nam ke rah gae hain duniya mein
dost ahbab aqraba pyare
ye bhi ek tarz-e-gham-gusari hai
tu mera hausla baDha pyare
shisha-e-dil ko toDne wale
tu ne achchha nahin kiya pyare
jazba-e-shauq mar na jae kahin
ehtiyatan hi ruTh ja pyare
peD se gir ke zard patton ne
bhar diya farsh ka KHala pyare
tera gham bhi gham-e-zamana bhi
gham bhi KHalis nahin raha pyare
aas ke dip to jala 'nusrat'
sham ka waqt ho chala pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.