yaad kahan rakhni hai tera KHwab kahan rakhna hai
yaad kahāñ rakhnī hai terā ḳhvāb kahāñ rakhnā hai
dil meñ yaad phir āñkhoñ meñ mahtāb kahāñ rakhnā hai
vo kahtā hai āḳhirī bāb-e-ishq mukammal kar leñ
aur maiñ soch rahā huuñ pahlā baab kahāñ rakhnā hai
husn kī yaktā.ī kā bas itnā ehsās hai mujh ko
kāñToñ kī tartīb meñ ek gulāb kahāñ rakhnā hai
yaad kahan rakhni hai tera KHwab kahan rakhna hai
dil mein yaad phir aankhon mein mahtab kahan rakhna hai
wo kahta hai aaKHiri bab-e-ishq mukammal kar len
aur main soch raha hun pahla bab kahan rakhna hai
husn ki yaktai ka bas itna ehsas hai mujh ko
kanTon ki tartib mein ek gulab kahan rakhna hai
- Book : duniya aarzoo se kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.