yaad karne ke zamane se bahut aage hain
yaad karne ke zamāne se bahut aage haiñ
aaj ham apne Thikāne se bahut aage haiñ
koī aa ke hameñ DhūñDegā to kho jā.egā
ham na.e ġham meñ purāne se bahut aage haiñ
jism baaqī hai magar jaañ ko miTāne vaale
ruuh meñ zaḳhm nishāne se bahut aage haiñ
is qadar ḳhush haiñ ki ham ḳhvāb-e-farāmoshī meñ
jaag jaane ke bahāne se bahut aage haiñ
jo hameñ pā ke bhī khone se bahut pīchhe thā
ham use kho ke bhī paane se bahut aage haiñ
yaad karne ke zamane se bahut aage hain
aaj hum apne Thikane se bahut aage hain
koi aa ke hamein DhunDega to kho jaega
hum nae gham mein purane se bahut aage hain
jism baqi hai magar jaan ko miTane wale
ruh mein zaKHm nishane se bahut aage hain
is qadar KHush hain ki hum KHwab-e-faramoshi mein
jag jaane ke bahane se bahut aage hain
jo hamein pa ke bhi khone se bahut pichhe tha
hum use kho ke bhi pane se bahut aage hain
- Book : Wajah-e-Begangi (Pg. 20)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.