yaad kya dast-e-hunar hai ki sanwarta gaya main
yaad kyā dast-e-hunar hai ki sañvartā gayā maiñ
us ko sochā to use yaad hī kartā gayā maiñ
is ko tahzīb-e-junūñ kahiye ki mujh se pahle
jaise bikhre haiñ sabhī log bikhartā gayā maiñ
naqsh kitne the ki ma.adūm hue silsila-vār
aur har naqsh ke pahle se ubhartā gayā maiñ
ek tasvīr banā.ī thī mukammal na huī
ek hī rañg lahū rañg thā bhartā gayā maiñ
harf-e-iqrār hī kahtā rahā be-ḳhaufī se
ya.anī inkār ke āshob se Dartā gayā maiñ
dāman-e-vaqt se sau harf-e-satā.ish bhī chune
aur ilzām sabhī vaqt pe dhartā gayā maiñ
apne andar ke talātum ne rakhā hai ābād
ḳhud hī iqrār kiyā ḳhud hī mukartā gayā maiñ
mujh meñ har lamha fuzūñ-tar huā andoh-e-jamāl
aur tasvīr ke mānind sañvartā gayā maiñ
har nafas baḌhtā gayā us kī tamannā kā ḳharosh
lamha lamha isī vahshat meñ nikhartā gayā maiñ
zindagī ku-e-malāmat hai koī kyā Thahre
apnī hī vaz.a kā maiñ huuñ so Thahartā gayā maiñ
yaad kya dast-e-hunar hai ki sanwarta gaya main
us ko socha to use yaad hi karta gaya main
is ko tahzib-e-junun kahiye ki mujh se pahle
jaise bikhre hain sabhi log bikharta gaya main
naqsh kitne the ki madum hue silsila-war
aur har naqsh ke pahle se ubharta gaya main
ek taswir banai thi mukammal na hui
ek hi rang lahu rang tha bharta gaya main
harf-e-iqrar hi kahta raha be-KHaufi se
yani inkar ke aashob se Darta gaya main
daman-e-waqt se sau harf-e-sataish bhi chune
aur ilzam sabhi waqt pe dharta gaya main
apne andar ke talatum ne rakha hai aabaad
KHud hi iqrar kiya KHud hi mukarta gaya main
mujh mein har lamha fuzun-tar hua andoh-e-jamal
aur taswir ke manind sanwarta gaya main
har nafas baDhta gaya us ki tamanna ka KHarosh
lamha lamha isi wahshat mein nikharta gaya main
zindagi ku-e-malamat hai koi kya Thahre
apni hi waza ka main hun so Thaharta gaya main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.