yaad raaton mein aa gaya koi
yaad rātoñ meñ aa gayā koī
raat mujh ko rulā gayā koī
mujh ko siine se mat lagā saaqī
mujh meñ kāñTe bichhā gayā koī
ai havā jā use ḳhabar kar de
apnā va.ada nibhā gayā koī
sab ko hissa milā thā lekin kyuuñ
mere hisse ko khā gayā koī
tere rone kī ek vaj.h to hai
mujh ko yuuñ hī rulā gayā koī
merī ġhalatī nahīñ hai ai patthar
mujh ko pāgal banā gayā koī
yaad raaton mein aa gaya koi
raat mujh ko rula gaya koi
mujh ko sine se mat laga saqi
mujh mein kanTe bichha gaya koi
ai hawa ja use KHabar kar de
apna wada nibha gaya koi
sab ko hissa mila tha lekin kyun
mere hisse ko kha gaya koi
tere rone ki ek wajh to hai
mujh ko yun hi rula gaya koi
meri ghalati nahin hai ai patthar
mujh ko pagal bana gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.