yaad rakh kar bhi bhul jate hain
yaad rakh kar bhī bhuul jaate haiñ
dil meñ jitne ḳhayāl aate haiñ
kaash dil ko bhī saaf kar lete
roz gañgā meñ jo nahāte haiñ
haiñ vahī bas vahī haiñ apne dost
jo musībat meñ kaam aate haiñ
chāñd par jaane vaale jā pahuñche
ham abhī tak hañsī uḌāte haiñ
jo hameñ yaad hī nahīñ karte
roz vo ham ko yaad aate haiñ
un ke kahne pe kyoñ yaqīñ aa.e
roz be-par kī jo uḌāte haiñ
'shād' taklīf dekh kar un kī
ḳhud bhī dil meñ chubhan sī paate haiñ
yaad rakh kar bhi bhul jate hain
dil mein jitne KHayal aate hain
kash dil ko bhi saf kar lete
roz ganga mein jo nahate hain
hain wahi bas wahi hain apne dost
jo musibat mein kaam aate hain
chand par jaane wale ja pahunche
hum abhi tak hansi uDate hain
jo hamein yaad hi nahin karte
roz wo hum ko yaad aate hain
un ke kahne pe kyon yaqin aae
roz be-par ki jo uDate hain
'shad' taklif dekh kar un ki
KHud bhi dil mein chubhan si pate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.