yaad rakhne ka bhi wada ho zaruri to nahin
yaad rakhne kā bhī va.ada ho zarūrī to nahīñ
bhuul jaane kā irāda ho zarūrī to nahīñ
naam achchhā sā koī ham ne rakhā hai likh kar
dil kā kāġhaz abhī saada ho zarūrī to nahīñ
is tabassum ko mire dukh kī alāmat na samajh
ye kisī ġham kā labāda ho zarūrī to nahīñ
yūñhī ik baar kabhī ek nazar Daalī thī
us ko ehsās ziyāda ho zarūrī to nahīñ
haañ hisāb-e-ġham-e-daurāñ to bahut mushkil hai
aur phir us kā i.aada ho zarūrī to nahīñ
besh-qīmat hai bahut surḳhī-e-ḳhūn-e-dil bhī
rū-ba-rū jaam meñ baada ho zarūrī to nahīñ
saarī duniyā ke ḳhazāne bhī mayassar hoñ jise
haath bhī us kā kushāda ho zarūrī to nahīñ
yaad rakhne ka bhi wada ho zaruri to nahin
bhul jaane ka irada ho zaruri to nahin
nam achchha sa koi hum ne rakha hai likh kar
dil ka kaghaz abhi sada ho zaruri to nahin
is tabassum ko mere dukh ki alamat na samajh
ye kisi gham ka labaada ho zaruri to nahin
yunhi ek bar kabhi ek nazar Dali thi
us ko ehsas ziyaada ho zaruri to nahin
han hisab-e-gham-e-dauran to bahut mushkil hai
aur phir us ka iada ho zaruri to nahin
besh-qimat hai bahut surKHi-e-KHun-e-dil bhi
ru-ba-ru jam mein baada ho zaruri to nahin
sari duniya ke KHazane bhi mayassar hon jise
hath bhi us ka kushada ho zaruri to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.