yaad se terī fazā-e-shab munavvar ho ga.ī
terī ḳhushbū se mirī jaañ tak mo.attar ho ga.ī
ḳhūñ-bahā maazī kā denā ham pe vājib ho gayā
fasl ab teġh-o-tabar kī bhī muqarrar ho ga.ī
gardish-e-daurāñ se paspā ho nahīñ paayā magar
tere māthe kī shikan merā muqaddar ho ga.ī
vo nigāh-e-dil-rubā jis par ki ham ko naaz thā
dil ke shīshe ke liye kyoñ aaj patthar ho ga.ī
kaise samjhūñ ab girānī kā zamāna aa gayā
ḳhūn-e-insāñ kī to qīmat kam se kamtar ho ga.ī
zulm ke sho.ale bhaḌakte jā rahe haiñ har taraf
zindagī kyā hai hadīs-e-teġh-o-ḳhanjar ho ga.ī
maiñ hujūm-e-be-karāñ meñ kho chukī pahchān huuñ
āgahī apnī faqat ik dīda-e-tar ho ga.ī
tere aane se chaman meñ aa ga.ī phir se bahār
ḳhushk Tahnī bhī yahāñ ab to gul-e-tar ho ga.ī
vo bhī thī taḳhlīq ke sail-e-ravāñ kī ik tarang
rūh-e-insāñ kaise ġhamgīn-o-mukaddar ho ga.ī
dard ke rishte se duniyā mere dil meñ aa basī
ik zarā sī āb-jū baḌh kar samundar ho ga.ī
lauT kar tanhā.iyāñ kartī sukūñ tārāj hai
yaad terī merī ḳhātir ek lashkar ho ga.ī
is jabīñ par aa gayā arq-e-nadāmat kā guhar
Duub jā.ūñ buuñd vo aisā samundar ho ga.ī
yaad se teri faza-e-shab munawwar ho gai
teri KHushbu se meri jaan tak moattar ho gai
KHun-baha mazi ka dena hum pe wajib ho gaya
fasl ab tegh-o-tabar ki bhi muqarrar ho gai
gardish-e-dauran se paspa ho nahin paya magar
tere mathe ki shikan mera muqaddar ho gai
wo nigah-e-dil-ruba jis par ki hum ko naz tha
dil ke shishe ke liye kyon aaj patthar ho gai
kaise samjhun ab girani ka zamana aa gaya
KHun-e-insan ki to qimat kam se kamtar ho gai
zulm ke shoale bhaDakte ja rahe hain har taraf
zindagi kya hai hadis-e-tegh-o-KHanjar ho gai
main hujum-e-be-karan mein kho chuki pahchan hun
aagahi apni faqat ek dida-e-tar ho gai
tere aane se chaman mein aa gai phir se bahaar
KHushk Tahni bhi yahan ab to gul-e-tar ho gai
wo bhi thi taKHliq ke sail-e-rawan ki ek tarang
ruh-e-insan kaise ghamgin-o-mukaddar ho gai
dard ke rishte se duniya mere dil mein aa basi
ek zara si aab-ju baDh kar samundar ho gai
lauT kar tanhaiyan karti sukun taraj hai
yaad teri meri KHatir ek lashkar ho gai
is jabin par aa gaya arq-e-nadamat ka guhar
Dub jaun bund wo aisa samundar ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.