yaad teri dila rahe hain mujhe
yaad terī dilā rahe haiñ mujhe
chāñd taare jalā rahe haiñ mujhe
pahle duniyā satā rahī thī mujhe
aap bhī ab satā rahe haiñ mujhe
dekhiye phir se be-ḳhayālī meñ
aap phir gungunā rahe haiñ mujhe
rote dekhā thā maañ ko bachpan meñ
ab vo aañsū rulā rahe haiñ mujhe
sunte rahte the jo mujhe ghanToñ
kitnī bāteñ sunā rahe haiñ mujhe
ek guḌiyā huuñ mom kī maiñ 'sabīn'
aap patthar banā rahe haiñ mujhe
yaad teri dila rahe hain mujhe
chand tare jala rahe hain mujhe
pahle duniya sata rahi thi mujhe
aap bhi ab sata rahe hain mujhe
dekhiye phir se be-KHayali mein
aap phir gunguna rahe hain mujhe
rote dekha tha man ko bachpan mein
ab wo aansu rula rahe hain mujhe
sunte rahte the jo mujhe ghanTon
kitni baaten suna rahe hain mujhe
ek guDiya hun mom ki main 'sabin'
aap patthar bana rahe hain mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.