yaad teri juda nahin hoti
yaad terī judā nahīñ hotī
mujh se ik ye ḳhatā nahīñ hotī
koī ḳhvāhish nahīñ mirī shāyad
dil se koī duā nahīñ hotī
yaañ pe chup baiThnā hī behtar hai
baat yuuñ har jagah nahīñ hotī
dekh lo ḳhud bhī tum siyāne ho
in butoñ meñ vafā nahīñ hotī
ishq karne se baaz rahnā tum
is maraz kī davā nahīñ hotī
chhoḌ detī hai saath ye sab kā
zindagī bā-vafā nahīñ hotī
'shān' ahl-e-nazar ye kahte haiñ
sādgī be-adā nahīñ hotī
yaad teri juda nahin hoti
mujh se ek ye KHata nahin hoti
koi KHwahish nahin meri shayad
dil se koi dua nahin hoti
yan pe chup baiThna hi behtar hai
baat yun har jagah nahin hoti
dekh lo KHud bhi tum siyane ho
in buton mein wafa nahin hoti
ishq karne se baz rahna tum
is maraz ki dawa nahin hoti
chhoD deti hai sath ye sab ka
zindagi ba-wafa nahin hoti
'shan' ahl-e-nazar ye kahte hain
sadgi be-ada nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.