yaad unki satati rahi raat-bhar
yaad un kī satātī rahī rāt-bhar
aañkh aañsū bahātī rahī rāt-bhar
ek ma.asūm man mohnī sī sadā
dil pe dastak lagātī rahī rāt-bhar
ek talvār siine pe chaltī rahī
ik ḳhalish gudgudātī rahī rāt-bhar
raat Dhaltī rahī ham sisakte rahe
sham.a aañsū bahātī rahī rāt-bhar
yaad un ki satati rahi raat-bhar
aankh aansu bahati rahi raat-bhar
ek masum man mohni si sada
dil pe dastak lagati rahi raat-bhar
ek talwar sine pe chalti rahi
ek KHalish gudgudati rahi raat-bhar
raat Dhalti rahi hum sisakte rahe
shama aansu bahati rahi raat-bhar
- Book : Kuchh Nazmen Kuchh Ghazalen (Pg. 108)
- Author : Arif Hasan Khan
- Publication : Arif Hasan Khan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.