yaad uski hai aur chandni hai
yaad us kī hai aur chāñdnī hai
raat ik hādisa ban ga.ī hai
ye mirī shān-e-bāda-kashī hai
us nazar ne pilā.ī to pī hai
tere ġham ne mirī zindagī ko
lazzat-e-zindagī baḳhsh dī hai
chup bhī ho jaao ai luTne vaalo
rahnumāoñ pe baat aa ga.ī hai
ye tirī hajv-e-bāda hī zāhid
vaj.h-e-bāda-kashī ban ga.ī hai
aql kyā rahbarī kar sakegī
jo hamesha bhaTaktī phirī hai
kitne māthoñ pe bal paḌ ga.e haiñ
baat haq kī jahāñ maiñ ne kī hai
yaad us ki hai aur chandni hai
raat ek hadisa ban gai hai
ye meri shan-e-baada-kashi hai
us nazar ne pilai to pi hai
tere gham ne meri zindagi ko
lazzat-e-zindagi baKHsh di hai
chup bhi ho jao ai luTne walo
rahnumaon pe baat aa gai hai
ye teri hajw-e-baada hi zahid
wajh-e-baada-kashi ban gai hai
aql kya rahbari kar sakegi
jo hamesha bhaTakti phiri hai
kitne mathon pe bal paD gae hain
baat haq ki jahan main ne ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.