yaad uski kahan bhula di hai
yaad us kī kahāñ bhulā dī hai
ham ne āvāz bārhā dī hai
lau sī phir de uThe haiñ zaḳhm-e-jigar
phir kisī ne mujhe sadā dī hai
dene vaale ne terā ġham de kar
haa.e kitnī baḌī sazā dī hai
ab to aa jaao rasm-e-duniyā kī
maiñ ne dīvār bhī girā dī hai
aao aao qarīb se dekho
zindagī āñsuoñ kī vaadī hai
yaad us ki kahan bhula di hai
hum ne aawaz barha di hai
lau si phir de uThe hain zaKHm-e-jigar
phir kisi ne mujhe sada di hai
dene wale ne tera gham de kar
hae kitni baDi saza di hai
ab to aa jao rasm-e-duniya ki
main ne diwar bhi gira di hai
aao aao qarib se dekho
zindagi aansuon ki wadi hai
- Book : Awaz Na Do (Pg. 2)
- Author : Javed Kamal
- Publication : Sky Lark Publishers, Aligarah ( 1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.