yaad yun hosh ganwa baiThi hai
yaad yuuñ hosh gañvā baiThī hai
jism se jaan judā baiThī hai
raah taknā hai abas so jaao
dhuup dīvār pe aa baiThī hai
āshiyāne kā ḳhudā hī hāfiz
ghaat meñ tez havā baiThī hai
dast-e-gul-chīñ se muravvat kaisī
shāḳh phūloñ ko gañvā baiThī hai
kaise aa.e kisī gulshan meñ bahār
dasht meñ ābla-pā baiThī hai
shahr āseb-zada lagtā hai
kūche kūche meñ balā baiThī hai
chaar kamroñ ke makāñ meñ apne
ik pachhal-pā.ī bhī aa baiThī hai
shā.irī peT kī ḳhātir 'jāved'
biich bāzār ke aa baiThī hai
yaad yun hosh ganwa baiThi hai
jism se jaan juda baiThi hai
rah takna hai abas so jao
dhup diwar pe aa baiThi hai
aashiyane ka KHuda hi hafiz
ghat mein tez hawa baiThi hai
dast-e-gul-chin se murawwat kaisi
shaKH phulon ko ganwa baiThi hai
kaise aae kisi gulshan mein bahaar
dasht mein aabla-pa baiThi hai
shahr aaseb-zada lagta hai
kuche kuche mein bala baiThi hai
chaar kamron ke makan mein apne
ek pachhal-pai bhi aa baiThi hai
shairi peT ki KHatir 'jawed'
bich bazar ke aa baiThi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.