Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaadgar-e-zamana hain hum log

Muntazir lakhnavi

yaadgar-e-zamana hain hum log

Muntazir lakhnavi

MORE BYMuntazir lakhnavi

    yādgār-e-zamāna haiñ ham log

    sun rakho tum fasāna haiñ ham log

    ḳhalq se ho ga.e haiñ begāne

    shāyad us ke yagāna haiñ ham log

    kyuuñ na har gul pe hoveñ zamzama-sanj

    bulbul-e-ḳhush-tarāna haiñ ham log

    sab ke maḳhdūm haiñ vale tere

    ḳhādim-e-āstāna haiñ ham log

    tīr-e-mizhgāñ hai kyā balā jis ke

    jān-o-dil se nishāna haiñ ham log

    yaar aage nikal ga.e haiñ ka.ī

    pīchhe un ke ravāna haiñ ham log

    apne meñ samajh zulf-e-darāz

    qābil-e-tāziyāna haiñ ham log

    'muntazir' shakl-e-bulbul-e-vahshī

    Dushman-e-āshiyana haiñ ham log

    yaadgar-e-zamana hain hum log

    sun rakho tum fasana hain hum log

    KHalq se ho gae hain begane

    shayad us ke yagana hain hum log

    kyun na har gul pe howen zamzama-sanj

    bulbul-e-KHush-tarana hain hum log

    sab ke maKHdum hain wale tere

    KHadim-e-astana hain hum log

    tir-e-mizhgan hai kya bala jis ke

    jaan-o-dil se nishana hain hum log

    yar aage nikal gae hain kai

    pichhe un ke rawana hain hum log

    apne ji mein samajh tu zulf-e-daraaz

    qabil-e-taziyana hain hum log

    'muntazir' shakl-e-bulbul-e-wahshi

    Dushman-e-ashiyana hain hum log

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now