yaadon ke gul dil ke tu gul-dan mein rakh
yādoñ ke gul dil ke tū gul-dān meñ rakh
aaj bhī un kī sūrat apne dhyān meñ rakh
shahr-e-jafā meñ ab us ne bisrām kiyā
ḳhat us ke ab saare ātish-dān meñ rakh
duniyā ko sauġhāt ḳhushī kī baañT sadā
ġham poshīda apne qalb-o-jān meñ rakh
jaane dushman kis dam sāmne aa jaa.e
ġhāfil mat rah koī tiir kamān meñ rakh
ye tere aslāf kā baaqī virsa hai
is TuuTī talvār ko bhī sāmān meñ rakh
jis se dil-āzārī ho insānoñ kī
aisā koī sitam na apnī shaan meñ rakh
dukhiyāroñ ke dard kā ye bhī darmāñ hai
ġham-ḳhvāroñ ke chehroñ ko muskān meñ rakh
ho ke dil-bardashta rishte toḌ na sab
kuchh to jazbe dil kī bhī dūkān meñ rakh
jaane 'sā.ir' kab taqdīr badal jaa.e
apne har mohsin ko tū pahchān meñ rakh
yaadon ke gul dil ke tu gul-dan mein rakh
aaj bhi un ki surat apne dhyan mein rakh
shahr-e-jafa mein ab us ne bisram kiya
KHat us ke ab sare aatish-dan mein rakh
duniya ko saughat KHushi ki banT sada
gham poshida apne qalb-o-jaan mein rakh
jaane dushman kis dam samne aa jae
ghafil mat rah koi tir kaman mein rakh
ye tere aslaf ka baqi wirsa hai
is TuTi talwar ko bhi saman mein rakh
jis se dil-azari ho insanon ki
aisa koi sitam na apni shan mein rakh
dukhiyaron ke dard ka ye bhi darman hai
gham-KHwaron ke chehron ko muskan mein rakh
ho ke dil-bardashta rishte toD na sab
kuchh to jazbe dil ki bhi dukan mein rakh
jaane 'sair' kab taqdir badal jae
apne har mohsin ko tu pahchan mein rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.