yaadon ki dhul se mera mazi aTa hua
yādoñ kī dhuul se mirā maazī aTā huā
bhūlūñ to kis tarah tirā chehra raTā huā
tujh se faqat duā hai ki phir se bahāl kar
āñkhoñ se hai jo ḳhvāb kā rishta kaTā huā
but pūjtā huuñ ka.aba-e-dil meñ haiñ but-kade
rahtā huuñ apnī zaat ke andar baTā huā
aao baḌhā ke haath sameTeñ kisī tarah
banjar zamīñ ke vāste bādal chhaTā huā
sāñseñ bhī mil ke maut se sāzish kareñ 'nadīm'
dukh hai ki mere haq meñ musalsal Datā huā
yaadon ki dhul se mera mazi aTa hua
bhulun to kis tarah tera chehra raTa hua
tujh se faqat dua hai ki phir se bahaal kar
aankhon se hai jo KHwab ka rishta kaTa hua
but pujta hun kaba-e-dil mein hain but-kade
rahta hun apni zat ke andar baTa hua
aao baDha ke hath sameTen kisi tarah
banjar zamin ke waste baadal chhaTa hua
sansen bhi mil ke maut se sazish karen 'nadim'
dukh hai ki mere haq mein musalsal Data hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.