yaadon ki qindil jalana achchha lagta hai
yādoñ kī qindīl jalānā achchhā lagtā hai
dard kī lau ko aur baḌhānā achchhā lagtā hai
taaza havā thī mahkī fazā thī kyā the achchhe din
pal pal ab to pichhlā zamāna achchhā lagtā hai
tujh se bichhaḌ kar pyāre vatan terī hī chāhat meñ
ġham se lipaT kar aañsū bahānā achchhā lagtā hai
māyūsī kī raah meñ jab tak ḳhvāb sunahrā ho
shauq-e-safar meñ ḳhvāb sajānā achchhā lagtā hai
yuuñ hī ḳhafā ho jaanā us kī aadat hai 'sālim'
pyaar se lekin us ko manānā achchhā lagtā hai
yaadon ki qindil jalana achchha lagta hai
dard ki lau ko aur baDhana achchha lagta hai
taza hawa thi mahki faza thi kya the achchhe din
pal pal ab to pichhla zamana achchha lagta hai
tujh se bichhaD kar pyare watan teri hi chahat mein
gham se lipaT kar aansu bahana achchha lagta hai
mayusi ki rah mein jab tak KHwab sunahra ho
shauq-e-safar mein KHwab sajaana achchha lagta hai
yun hi KHafa ho jaana us ki aadat hai 'salim'
pyar se lekin us ko manana achchha lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.