Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaadon ki qindil jalana kitna achchha lagta hai

Tabish Mehdi

yaadon ki qindil jalana kitna achchha lagta hai

Tabish Mehdi

MORE BYTabish Mehdi

    yādoñ qindīl jalānā kitnā achchhā lagtā hai

    ḳhvāboñ ko palkoñ pe sajānā kitnā achchhā lagtā hai

    terī talab meñ patthar khānā kitnā achchhā lagtā hai

    ḳhud bhī ronā sab ko rulānā kitnā achchhā lagtā hai

    ham ko ḳhabar hai shahr meñ us ke sañg-e-malāmat milte haiñ

    phir bhī us ke shahr meñ jaanā kitnā achchhā lagtā hai

    jurm-e-mohabbat tārīḳheñ sabt haiñ jin ke dāman par

    un lamhoñ ko dil meñ basānā kitnā achchhā lagtā hai

    haal se apne begāne haiñ mustaqbil fikr nahīñ

    logo ye bachpan zamānā kitnā achchhā lagtā hai

    aaj ye uslūb-e-ġhazal bhī qadr ke qābil hai lekin

    'mīr' vo andāz purānā kitnā achchhā lagtā hai

    qadr-shanās-e-sher-o-suḳhan hote haiñ jahāñ par ai 'tābish'

    us mahfil meñ sher sunānā kitnā achchhā lagtā hai

    yaadon ki qindil jalana kitna achchha lagta hai

    KHwabon ko palkon pe sajaana kitna achchha lagta hai

    teri talab mein patthar khana kitna achchha lagta hai

    KHud bhi rona sab ko rulana kitna achchha lagta hai

    hum ko KHabar hai shahr mein us ke sang-e-malamat milte hain

    phir bhi us ke shahr mein jaana kitna achchha lagta hai

    jurm-e-mohabbat ki tariKHen sabt hain jin ke daman par

    un lamhon ko dil mein basana kitna achchha lagta hai

    haal se apne begane hain mustaqbil ki fikr nahin

    logo ye bachpan ka zamana kitna achchha lagta hai

    aaj ka ye uslub-e-ghazal bhi qadr ke qabil hai lekin

    'mir' ka wo andaz purana kitna achchha lagta hai

    qadr-shanas-e-sher-o-suKHan hote hain jahan par ai 'tabish'

    us mahfil mein sher sunana kitna achchha lagta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now