yan se denge na tumko jaane aaj
yaañ se deñge na tum ko jaane aaj
laakh ab tum karo bahāne aaj
bin liye aaj terā bosa-e-lab
kab bhalā dūñgā tujh ko jaane aaj
bas ye mujh se na tum karo kal kal
itnī hai kal kahāñ ki jaane aaj
daaġh juuñ laala khā chaman meñ nasīm
maiñ bhī aayā huuñ gul khilāne aaj
lag gayā ḳhaak ho ke jism-e-'nasīr'
kūcha-e-yār meñ Thikāne aaj
yan se denge na tum ko jaane aaj
lakh ab tum karo bahane aaj
bin liye aaj tera bosa-e-lab
kab bhala dunga tujh ko jaane aaj
bas ye mujh se na tum karo kal kal
itni hai kal kahan ki jaane aaj
dagh jun lala kha chaman mein nasim
main bhi aaya hun gul khilane aaj
lag gaya KHak ho ke jism-e-'nasir'
kucha-e-yar mein Thikane aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.