yar bin ghar mein ajab sohbat hai
yaar bin ghar meñ ajab sohbat hai
dar-o-dīvār se ab sohbat hai
dil hamārā use kartā hai raat
ġhair se jo sar-e-shab sohbat hai
dard-e-dil us se jo ham ne na kahā
aisī hāsil huī kab sohbat hai
dahr meñ pās-e-nafas lāzim hai
shīsha-o-sañg ye sab sohbat hai
dast-e-āġhyār hai zer-e-sar-e-yār
aaj 'ummīd' kaDhab sohbat hai
yar bin ghar mein ajab sohbat hai
dar-o-diwar se ab sohbat hai
dil hamara use karta hai raat
ghair se jo sar-e-shab sohbat hai
dard-e-dil us se jo hum ne na kaha
aisi hasil hui kab sohbat hai
dahr mein pas-e-nafas lazim hai
shisha-o-sang ye sab sohbat hai
dast-e-aghyar hai zer-e-sar-e-yar
aaj 'ummid' kaDhab sohbat hai
- Book : Noquush (Pg. B-386 E398)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.