yar garm-e-mehrbani ho gaya
yaar garm-e-mehrbānī ho gayā
dushman-e-jānī thā jaanī ho gayā
is shakar-lab kī malāhat dekh kar
munfa.il hoñToñ se paanī ho gayā
top-ḳhāne siiñ hamārī aah ke
qil.a-e-dil dhol-dhānī ho gayā
kesarī jaama badan meñ us ke dekh
rañg merā za.afrānī ho gayā
dekh us ḳhurshīd-rū kuuñ ai 'sirāj'
chāñd kā rañg āsmānī ho gayā
yar garm-e-mehrbani ho gaya
dushman-e-jaani tha jaani ho gaya
is shakar-lab ki malahat dekh kar
munfail honTon se pani ho gaya
top-KHane sin hamari aah ke
qila-e-dil dhol-dhani ho gaya
kesari jama badan mein us ke dekh
rang mera zafrani ho gaya
dekh us KHurshid-ru kun ai 'siraj'
chand ka rang aasmani ho gaya
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 334)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.