yar hamari baat na puchh
yaar hamārī baat na pūchh
kaise biitī raat na pūchh
kis darja pāmāl hue
bekas ke jazbāt na pūchh
ab tak jism sulagtā hai
kaisī thī barsāt na pūchh
āñkhoñ kī tahrīr samajh
kyā hai apnī zaat na pūchh
bas apnā kirdār nibhā
kis kī hogī maat na pūchh
dil uff kar ke baiTh gayā
kaise the lamhāt na pūchh
safar kaḌā hai chaltā chal
kaun hai kis ke saath na pūchh
yar hamari baat na puchh
kaise biti raat na puchh
kis darja pamal hue
bekas ke jazbaat na puchh
ab tak jism sulagta hai
kaisi thi barsat na puchh
aankhon ki tahrir samajh
kya hai apni zat na puchh
bas apna kirdar nibha
kis ki hogi mat na puchh
dil uff kar ke baiTh gaya
kaise the lamhat na puchh
safar kaDa hai chalta chal
kaun hai kis ke sath na puchh
- Book : Khwab Patthar Ho Gaye (Pg. 50)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Skylark House of Publications, 52 Shiv Vihar, Sector-1, Jankipuram, Lucknow-21 (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.