yar ka pata logo ja-ba-ja nahin milta
yaar kā patā logo jā-ba-jā nahīñ miltā
jis jagah pe khoyā ho us jagah nahīñ miltā
sho.ala-e-javāla hai aag kā havāla hai
masjidoñ kī ThanDak meñ ab ḳhudā nahīñ miltā
ishq karne vaale bhī ishq ab nahīñ karte
jū-e-shīr laane kā ab sila nahīñ miltā
lambe lambe rastoñ pe chhoTe chhoTe logoñ ko
manziloñ kī qurbat se hausla nahīñ miltā
dhuup ke musāfir ko dasht kī masāfat meñ
sāya-dār peḌoñ kā aasrā nahīñ miltā
is qadar ujālā hai shahr ke darīchoñ meñ
jugnuoñ ko ab 'tal.at' rāsta nahīñ miltā
yar ka pata logo ja-ba-ja nahin milta
jis jagah pe khoya ho us jagah nahin milta
shoala-e-jawala hai aag ka hawala hai
masjidon ki ThanDak mein ab KHuda nahin milta
ishq karne wale bhi ishq ab nahin karte
ju-e-shir lane ka ab sila nahin milta
lambe lambe raston pe chhoTe chhoTe logon ko
manzilon ki qurbat se hausla nahin milta
dhup ke musafir ko dasht ki masafat mein
saya-dar peDon ka aasra nahin milta
is qadar ujala hai shahr ke darichon mein
jugnuon ko ab 'talat' rasta nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.