Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yar ke darsan ke KHatir jaan aur tan bhul ja

Alimullah

yar ke darsan ke KHatir jaan aur tan bhul ja

Alimullah

MORE BYAlimullah

    yaar ke darsan ke ḳhātir jaan aur tan bhuul

    mukh munavvar dekh us rañg-e-gulshan bhuul

    chaḌh ke taazī ishq nit 'man-araf' sair kar

    'qad-araf' pahuñch ai dil mahl-o-maskan bhuul

    tark de islām ko aur kufr saarā duur kar

    chhoḌ de hirs-o-havā farzand aur zan bhuul

    aarsī meñ dil ke har dam dekh mukhḌā ruuh

    jaam ko jamshed ke aur fikr-e-darpan bhuul

    dam-ba-dam dil ke nazar suuñ ke darsan sharāb

    ai 'alīmullāh' jahāñ ke makr aur fan bhuul

    yar ke darsan ke KHatir jaan aur tan bhul ja

    mukh munawwar dekh us ka rang-e-gulshan bhul ja

    chaDh ke tazi ishq ka nit 'man-araf' ka sair kar

    'qad-araf' ka pahunch ai dil mahl-o-maskan bhul ja

    tark de islam ko aur kufr sara dur kar

    chhoD de hirs-o-hawa farzand aur zan bhul ja

    aarsi mein dil ke har dam dekh mukhDa ruh ka

    jam ko jamshed ke aur fikr-e-darpan bhul ja

    dam-ba-dam dil ke nazar sun pi ke darsan ka sharab

    ai 'alimullah' jahan ke makr aur fan bhul ja

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now