yar ke tir ka nishana hun
yaar ke tiir kā nishāna huuñ
apne taale kā maiñ divānā huuñ
nā-tavānī bhī dekh kar mujh ko
lagī rone maiñ vo tavānā huuñ
dekh dekh us kī zulf-e-abtar ko
dil yahī chāhtā hai shāna huuñ
mū pareshāñ hai chashm-e-zār-o-tarār
shajar-e-bīd hī se maanā huuñ
us se chashm-e-vafā rakhūñ 'joshish'
maiñ bhī terī tarah divānā huuñ
yar ke tir ka nishana hun
apne tale ka main diwana hun
na-tawani bhi dekh kar mujh ko
lagi rone main wo tawana hun
dekh dekh us ki zulf-e-abtar ko
dil yahi chahta hai shana hun
mu pareshan hai chashm-e-zar-o-tarar
shajar-e-bid hi se mana hun
us se chashm-e-wafa rakhun 'joshish'
main bhi teri tarah diwana hun
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.