Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yar ne hum ko agar ruswa kaha achchha kaha

Nazeer Akbarabadi

yar ne hum ko agar ruswa kaha achchha kaha

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    yaar ne ham ko agar rusvā kahā achchhā kahā

    ham to rusvā haiñ kyā be-jā kahā achchhā kahā

    vasf us ke hasan kullī huā kis se gar

    jis ke jitnā fahm meñ aayā kahā achchhā kahā

    aap se jab aap ko ham ne milāyā ḳhaak meñ

    phir to jis jis ne jo kuchh chāhā kahā achchhā kahā

    yaar ke aage paḌhā ye reḳhta kar 'nazīr'

    sun ke bolā vāh-vāh achchhā kahā achchhā kahā

    yar ne hum ko agar ruswa kaha achchha kaha

    hum to ruswa hain hi kya be-ja kaha achchha kaha

    wasf us ke hasan ka kulli hua kis se gar

    jis ke jitna fahm mein aaya kaha achchha kaha

    aap se jab aap ko hum ne milaya KHak mein

    phir to jis jis ne jo kuchh chaha kaha achchha kaha

    yar ke aage paDha ye reKHta ja kar 'nazir'

    sun ke bola wah-wah achchha kaha achchha kaha

    Source:

    Kulliyat-e-Nazeer (Pg. 841)

    • Author: Nazeer Akbarabadi
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1951
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now