yar tujhse hi sirf yari hai
yaar tujh se hī sirf yaarī hai
aaj bhī terī intizārī hai
koī dikhtā nahīñ sivā tere
terī chāhat kī ye ḳhumārī hai
phuul ik bhī nahīñ hai shraddhā kā
kaise mandir kā tū pujārī hai
mai purānī bhī fail ho jaa.e
terī āñkhoñ meñ vo ḳhumārī hai
āsmāñ par ghaTā bhī chhā.ī hai
terā nashsha bhī aaj taarī hai
yaar aa kar gale lagā le nā
merī kal shab se saañs bhārī hai
yar tujh se hi sirf yari hai
aaj bhi teri intizari hai
koi dikhta nahin siwa tere
teri chahat ki ye KHumari hai
phul ek bhi nahin hai shraddha ka
kaise mandir ka tu pujari hai
mai purani bhi fail ho jae
teri aankhon mein wo KHumari hai
aasman par ghaTa bhi chhai hai
tera nashsha bhi aaj tari hai
yar aa kar gale laga le na
meri kal shab se sans bhaari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.