yar ye log to kah dete hain sab se baaten
yaar ye log to kah dete haiñ sab se bāteñ
maiñ kisī se bhī karūñgā nahīñ ab se bāteñ
dil vo dar hai jo sar-e-arsh-e-barīñ khultā hai
roz kartā huuñ maiñ dil khol ke rab se bāteñ
fauqiyat detā huuñ har baat ko ḳhāmoshī par
dil pe le lī thiiñ kisī shaḳhs ne jab se bāteñ
hazrat-e-ishq kā hujra hai zarā dhyān rahe
yaañ shahanshāh bhī karte haiñ adab se bāteñ
yar ye log to kah dete hain sab se baaten
main kisi se bhi karunga nahin ab se baaten
dil wo dar hai jo sar-e-arsh-e-barin khulta hai
roz karta hun main dil khol ke rab se baaten
fauqiyat deta hun har baat ko KHamoshi par
dil pe le li thin kisi shaKHs ne jab se baaten
hazrat-e-ishq ka hujra hai zara dhyan rahe
yan shahanshah bhi karte hain adab se baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.