yaro ghar aai sham chalo mai-kade chalen
yaaro ghar aa.ī shaam chalo mai-kade chaleñ
yaad aa rahe haiñ jaam chalo mai-kade chaleñ
dair-o-haram pe khul ke jahāñ baat ho sake
hai ek hī maqām chalo mai-kade chaleñ
achchhā nahīñ piyeñge jo piinā harām hai
jiinā na ho harām chalo mai-kade chaleñ
yaaro jo hogā dekheñge ġham se to ho najāt
le kar ḳhudā kā naam chalo mai-kade chaleñ
saaqī bhī hai sharāb bhī āzādiyāñ bhī haiñ
sab kuchh hai intizām chalo mai-kade chaleñ
aisī fazā meñ lutf-e-ibādat na aa.egā
lenā hai us kā naam chalo mai-kade chaleñ
fursat ġhamoñ se paanā agar hai to aao 'nūr'
sab ko kareñ salām chalo mai-kade chaleñ
yaro ghar aai sham chalo mai-kade chalen
yaad aa rahe hain jam chalo mai-kade chalen
dair-o-haram pe khul ke jahan baat ho sake
hai ek hi maqam chalo mai-kade chalen
achchha nahin piyenge jo pina haram hai
jina na ho haram chalo mai-kade chalen
yaro jo hoga dekhenge gham se to ho najat
le kar KHuda ka nam chalo mai-kade chalen
saqi bhi hai sharab bhi aazadiyan bhi hain
sab kuchh hai intizam chalo mai-kade chalen
aisi faza mein lutf-e-ibaadat na aaega
lena hai us ka nam chalo mai-kade chalen
fursat ghamon se pana agar hai to aao 'nur'
sab ko karen salam chalo mai-kade chalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.