yaro kahan tak aur mohabbat nibhaun main
yaaro kahāñ tak aur mohabbat nibhā.ūñ maiñ
do mujh ko bad-duā ki use bhuul jā.ūñ maiñ
dil to jalā kiyā hai vo sho.ala sā aadmī
ab kis ko chhū ke haath bhī apnā jalā.ūñ maiñ
suntā huuñ ab kisī se vafā kar rahā hai vo
ai zindagī ḳhushī se kahīñ mar na jā.ūñ maiñ
ik shab bhī vasl kī na mirā saath de sakī
ahd-e-firāq aa ki tujhe āzmā.ūñ maiñ
badnām mere qatl se tanhā tū hī na ho
lā apnī mohr bhī sar-e-mahzar lagā.ūñ maiñ
utrā hai baam se koī ilhām kī tarah
jī chāhtā hai saarī zamīñ ko sajā.ūñ maiñ
us jaisā naam rakh ke agar aa.e maut bhī
hañs kar use 'qatīl' gale se lagā.ūñ maiñ
yaro kahan tak aur mohabbat nibhaun main
do mujh ko bad-dua ki use bhul jaun main
dil to jala kiya hai wo shoala sa aadmi
ab kis ko chhu ke hath bhi apna jalaun main
sunta hun ab kisi se wafa kar raha hai wo
ai zindagi KHushi se kahin mar na jaun main
ek shab bhi wasl ki na mera sath de saki
ahd-e-firaq aa ki tujhe aazmaun main
badnam mere qatl se tanha tu hi na ho
la apni mohr bhi sar-e-mahzar lagaun main
utra hai baam se koi ilham ki tarah
ji chahta hai sari zamin ko sajaun main
us jaisa nam rakh ke agar aae maut bhi
hans kar use 'qatil' gale se lagaun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.