yaron KHuda ye dekh ke hairan ho gaya
yāroñ ḳhudā ye dekh ke hairān ho gayā
insāñ jise banāyā thā haivān ho gayā
bhejā thā is ko amn kī ḳhātir jahān meñ
kaise ḳhilāf amn ke insān ho gayā
shaitān kā bhī sharm se dekho jhukā hai sar
insān ḳhud hī aaj to shaitān ho gayā
chintā meñ beTiyoñ kī har ik baap hai yahāñ
ab kyā batā.ūñ maiñ to pareshān ho gayā
Dhaa.e yahāñ pe gandī siyāsat ne vo sitam
lagtā hai jaise maut kā sāmān ho gayā
yaron KHuda ye dekh ke hairan ho gaya
insan jise banaya tha haiwan ho gaya
bheja tha is ko amn ki KHatir jahan mein
kaise KHilaf amn ke insan ho gaya
shaitan ka bhi sharm se dekho jhuka hai sar
insan KHud hi aaj to shaitan ho gaya
chinta mein beTiyon ki har ek bap hai yahan
ab kya bataun main to pareshan ho gaya
Dhae yahan pe gandi siyasat ne wo sitam
lagta hai jaise maut ka saman ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.