yas hi se kabhi guzar pyare
yaas hī se kabhī guzar pyāre
muntazir haiñ dil-o-nazar pyāre
phuul khilte ga.e mohabbat ke
tū ne dekhā jidhar-jidhar pyāre
gauhar-e-dil kī qadr kyā karte
ye hasīñ log kam-nazar pyāre
do qadam saath kyā chale ham tum
baat pahuñchī nagar-nagar pyāre
maiñ to ḳhud hī fareb-ḳhurda huuñ
tū mirī justujū na kar pyāre
ban ga.e log sāhab-e-daulat
jins-e-īmāñ ko bech kar pyāre
yuuñ to ahbāb aur bhī haiñ bahut
tujh se baḌh kar nahīñ magar pyāre
tañg-dastī meñ dekhnā 'nusrat'
bik na jaa.e kahīñ hunar pyāre
yas hi se kabhi guzar pyare
muntazir hain dil-o-nazar pyare
phul khilte gae mohabbat ke
tu ne dekha jidhar-jidhar pyare
gauhar-e-dil ki qadr kya karte
ye hasin log kam-nazar pyare
do qadam sath kya chale hum tum
baat pahunchi nagar-nagar pyare
main to KHud hi fareb-KHurda hun
tu meri justuju na kar pyare
ban gae log sahab-e-daulat
jins-e-iman ko bech kar pyare
yun to ahbab aur bhi hain bahut
tujh se baDh kar nahin magar pyare
tang-dasti mein dekhna 'nusrat'
bik na jae kahin hunar pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.