yas makan-e-dil se nikal kar kone kone jalne wali
yaas makān-e-dil se nikal kar kone kone jalne vaalī
darmāñda sī lauT aa.ī hai raat hai shāyad Dhalne vaalī
tum ko hamārī chaah nahīñ hai jab se ye vishvās huā hai
har tahrīr jalā Daalī hai soch hai ruup badalne vaalī
chāñd kī ḳhuddārī se maiñ ab dars-e-ḳhud-āgahī letā huuñ
varna ye māyūsī kī zulmat sadiyoñ se thī badalne vaalī
gītoñ ko dafnā do yahīñ par chīḳhoñ ke uslūb janm do
hañgāmoñ kī riit yahī hai aur yahī hai chalne vaalī
kaise kaise sāhib-e-nazrāñ sar-ba-garebāñ ghuum rahe haiñ
aaj hai jaane kis kī savārī fan ke makāñ se nikalne vaalī
yas makan-e-dil se nikal kar kone kone jalne wali
darmanda si lauT aai hai raat hai shayad Dhalne wali
tum ko hamari chah nahin hai jab se ye wishwas hua hai
har tahrir jala Dali hai soch hai rup badalne wali
chand ki KHuddari se main ab dars-e-KHud-agahi leta hun
warna ye mayusi ki zulmat sadiyon se thi badalne wali
giton ko dafna do yahin par chiKHon ke uslub janm do
hangamon ki rit yahi hai aur yahi hai chalne wali
kaise kaise sahib-e-nazran sar-ba-gareban ghum rahe hain
aaj hai jaane kis ki sawari fan ke makan se nikalne wali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.