yahan ghamon ki hai bohtat aur KHushi kam hai
yahāñ ġhamoñ kī hai bohtāt aur ḳhushī kam hai
chale bhī aao ki apnī bhī zindagī kam hai
zarā sī der Thahar jaao jugnuoñ aa kar
hamāre ghar meñ charāġhoñ kī raushnī kam hai
nikal chuke ho jo ghar se kahīñ Thahar jaao
hamāre shahr meñ amn-o-amāñ abhī kam hai
tumhāre aane se phailegī ḳhushbueñ har sū
chale bhī aao gulāboñ meñ dil-kashī kam hai
vo nafratoñ kā khilāḌī hai us ke chehre par
fareb chhāyā hai shiddat se sādgī kam hai
tumhāre hoñT bhī ḳhālī haiñ muskurāhaT se
hamāre sūkhe laboñ pe bhī ab ḳhushī kam hai
zamīr bech ke karte haiñ aish ye har dam
hamāre daur ke logoñ meñ ab ḳhudī kam hai
sabhī ko apne hī hālāt ne badal Daalā
milā to karte haiñ aapas meñ dostī kam hai
sikhā diyā hai zamāne ne ye hunar 'sājid'
hamāre lahje meñ pahle se be-ruḳhī kam hai
yahan ghamon ki hai bohtat aur KHushi kam hai
chale bhi aao ki apni bhi zindagi kam hai
zara si der Thahar jao jugnuon aa kar
hamare ghar mein charaghon ki raushni kam hai
nikal chuke ho jo ghar se kahin Thahar jao
hamare shahr mein amn-o-aman abhi kam hai
tumhaare aane se phailegi KHushbuen har su
chale bhi aao gulabon mein dil-kashi kam hai
wo nafraton ka khilaDi hai us ke chehre par
fareb chhaya hai shiddat se sadgi kam hai
tumhaare honT bhi KHali hain muskurahaT se
hamare sukhe labon pe bhi ab KHushi kam hai
zamir bech ke karte hain aish ye har dam
hamare daur ke logon mein ab KHudi kam hai
sabhi ko apne hi haalat ne badal Dala
mila to karte hain aapas mein dosti kam hai
sikha diya hai zamane ne ye hunar 'sajid'
hamare lahje mein pahle se be-ruKHi kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.