yahan hadisa hadisa chal raha hai
yahāñ hādisa hādisa chal rahā hai
ki mausam bahut hī burā chal rahā hai
batānā bhī chāhūñ to kaise batā.ūñ
samajh hī na aa.e ki kyā chal rahā hai
jo kuchh sochtā huuñ vo hotā nahīñ hai
ḳhudā bas tirā faisla chal rahā hai
mire juute meñ paañv rakh kar to dekheñ
jinheñ lag rahā hai maza chal rahā hai
tumheñ dikh rahā hai ki maiñ chal rahā huuñ
miyāñ par mirā hausla chal rahā hai
yahan hadisa hadisa chal raha hai
ki mausam bahut hi bura chal raha hai
batana bhi chahun to kaise bataun
samajh hi na aae ki kya chal raha hai
jo kuchh sochta hun wo hota nahin hai
KHuda bas tera faisla chal raha hai
mere jute mein panw rakh kar to dekhen
jinhen lag raha hai maza chal raha hai
tumhein dikh raha hai ki main chal raha hun
miyan par mera hausla chal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.