yahan ke rang baDe dil-pazir hue hain
yahāñ ke rañg baḌe dil-pazīr hue haiñ
dayār-e-ishq ke hākim faqīr hote haiñ
har ek dil meñ to ye barchhiyāñ utartī nahīñ
koī koī to nazar ke asiir hote haiñ
hujūm-e-bul-havasī ke ghane añdheroñ meñ
kuchh aise ġham bhī haiñ jo dast-gīr hote haiñ
har aise-vaise se qufl-e-qafas nahīñ khultā
is imtihāñ ke liye kuchh haqīr hote haiñ
tumhāre shahr meñ kis ko hai jaan dene kā shauq
magar vahāñ bhī jo sāhab-zamīr hote haiñ
yahan ke rang baDe dil-pazir hue hain
dayar-e-ishq ke hakim faqir hote hain
har ek dil mein to ye barchhiyan utarti nahin
koi koi to nazar ke asir hote hain
hujum-e-bul-hawasi ke ghane andheron mein
kuchh aise gham bhi hain jo dast-gir hote hain
har aise-waise se qufl-e-qafas nahin khulta
is imtihan ke liye kuchh haqir hote hain
tumhaare shahr mein kis ko hai jaan dene ka shauq
magar wahan bhi jo sahab-zamir hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.