yahan se hai kahani raat wali
yahāñ se hai kahānī raat vaalī
ki vo ik raat thī barsāt vaalī
kahā thā jo vahī kar ke dikhāyā
vo barq-e-be-amāñ thī baat vaalī
baḌī lambī planning kar rahī hai
hamārī zindagī lamhāt vaalī
kisī kī bhī nahīñ hotī ye duniyā
ki is kī zaat hai bad-zāt vaalī
hamārā hausla hai zindagī se
laḌe jaate haiñ kushtī maat vaalī
na ab ghar meñ vo tahzībī tavāzun
na ab vo koTharī jinnāt vaalī
jise dekho chhupā phirtā hai 'ḳhālid'
jamā.at aa ga.ī mevāt vaalī
yahan se hai kahani raat wali
ki wo ek raat thi barsat wali
kaha tha jo wahi kar ke dikhaya
wo barq-e-be-aman thi baat wali
baDi lambi planning kar rahi hai
hamari zindagi lamhat wali
kisi ki bhi nahin hoti ye duniya
ki is ki zat hai bad-zat wali
hamara hausla hai zindagi se
laDe jate hain kushti mat wali
na ab ghar mein wo tahzibi tawazun
na ab wo koThari jinnat wali
jise dekho chhupa phirta hai 'KHalid'
jamaat aa gai mewat wali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.