yahan se jae tamam duniya
yahāñ se jaa.e tamām duniyā
mujhe bachā.e tamām duniyā
mujhe na Toke maiñ so rahā huuñ
diyā jalā.e tamām duniyā
zarā thakāvaT sī ho rahī hai
jagah banā.e tamām duniyā
zamīn karvaT badal rahī hai
ḳhalā meñ aa.e tamām duniyā
is ek misre meñ kuchh nahīñ hai
girah lagā.e tamām duniyā
yahāñ pe maiñ aur vo raheñge
yahāñ nā aa.e tamām duniyā
mujh aisā koī ḳhudā nahīñ hai
agar banā.e tamām duniyā
yahan se jae tamam duniya
mujhe bachae tamam duniya
mujhe na Toke main so raha hun
diya jalae tamam duniya
zara thakawaT si ho rahi hai
jagah banae tamam duniya
zamin karwaT badal rahi hai
KHala mein aae tamam duniya
is ek misre mein kuchh nahin hai
girah lagae tamam duniya
yahan pe main aur wo rahenge
yahan na aae tamam duniya
mujh aisa koi KHuda nahin hai
agar banae tamam duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.