yahan shor bachche machate nahin hain
yahāñ shor bachche machāte nahīñ haiñ
parinde bhī ab giit gaate nahīñ haiñ
vafā ke falak par mohabbat ke taare
ḳhudā jaane kyuuñ jhilmilāte nahīñ haiñ
dilāsā na de yuuñ hameñ shaiḳh sa.dī
diloñ meñ samundar samāte nahīñ haiñ
virāsat meñ vaa.iz laqab paane vaale
mohalle kī masjid meñ jaate nahīñ haiñ
musavvir ne tasvīr-e-fursat banā kar
kahā vaqt ko ham bachāte nahīñ haiñ
ḳhas-o-ḳhār se ghoñsla shah kaḌī par
abābīl kyuuñ ab banāte nahīñ haiñ
hameñ tum sikhāo tumheñ ham sikhā.eñ
sabhī kaam to ham ko aate nahīñ haiñ
ye duniyā-e-do rañg-o-roza ke manzar
ki 'abrār' ab dil lubhāte nahīñ haiñ
yahan shor bachche machate nahin hain
parinde bhi ab git gate nahin hain
wafa ke falak par mohabbat ke tare
KHuda jaane kyun jhilmilate nahin hain
dilasa na de yun hamein shaiKH sadi
dilon mein samundar samate nahin hain
wirasat mein waiz laqab pane wale
mohalle ki masjid mein jate nahin hain
musawwir ne taswir-e-fursat bana kar
kaha waqt ko hum bachate nahin hain
KHas-o-KHar se ghonsla shah kaDi par
ababil kyun ab banate nahin hain
hamein tum sikhao tumhein hum sikhaen
sabhi kaam to hum ko aate nahin hain
ye duniya-e-do rang-o-roza ke manzar
ki 'abrar' ab dil lubhate nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.