Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahan tayyun-e-qadr-e-hayat kya karte

Natiq Azmi

yahan tayyun-e-qadr-e-hayat kya karte

Natiq Azmi

MORE BYNatiq Azmi

    yahāñ ta.ayyun-e-qadr-e-hayāt kyā karte

    ki rāste meñ manzil baat kyā karte

    qasam to khaa.ī thī manzil pe ke dam leñge

    pakaḌ ke paañv mirā hādsāt kyā karte

    the kaan band to āñkhoñ gum thī bīnā.ī

    sadā.eñ de ke bhalā vāqi.āt kyā karte

    hameñ to fikr thī vaa.iz rustagārī

    ham apne haq meñ duā-e-najāt kyā karte

    hamārī tishna-labī to rahīn-e-ḳhanjar thī

    koī batā.e ki le kar furāt kyā karte

    navāzish-e-ġham-e-daurāñ kam na thī 'nātiq'

    idhar vo apnā ruḳh-e-iltifāt kyā karte

    yahan tayyun-e-qadr-e-hayat kya karte

    ki raste hi mein manzil ki baat kya karte

    qasam to khai thi manzil pe ja ke dam lenge

    pakaD ke panw mera hadsat kya karte

    the kan band to aankhon ki gum thi binai

    sadaen de ke bhala waqiat kya karte

    hamein to fikr thi waiz ki rustagari ki

    hum apne haq mein dua-e-najat kya karte

    hamari tishna-labi to rahin-e-KHanjar thi

    koi batae ki le kar furaat kya karte

    nawazish-e-gham-e-dauran hi kam na thi 'natiq'

    idhar wo apna ruKH-e-iltifat kya karte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now