yahan to phir wahi diwar-o-dar nikal aae
yahāñ to phir vahī dīvār-o-dar nikal aa.e
kidhar ko yaar chale the kidhar nikal aa.e
kahāñ kā pā-e-vafā aur kahāñ kā dasht-e-talab
ki ab to raste ka.ī muḳhtasar nikal aa.e
huā rafīq na begār-e-shauq meñ koī
maqām-e-zar pe ka.ī mo'tabar nikal aa.e
gurez karte haiñ saa.e se bhī mire ahbāb
kahīñ idhar bhī na ye āshufta-sar nikal aa.e
huā na koī bhī pursān-e-hāl zindoñ kā
mare huoñ ke ka.ī nauhagar nikal aa.e
rahe zarā dil-e-ḳhūñ-gashta par nazar 'anjum'
usī sadaf se ajab kyā guhar nikal aa.e
yahan to phir wahi diwar-o-dar nikal aae
kidhar ko yar chale the kidhar nikal aae
kahan ka pa-e-wafa aur kahan ka dasht-e-talab
ki ab to raste kai muKHtasar nikal aae
hua rafiq na begar-e-shauq mein koi
maqam-e-zar pe kai mo'tabar nikal aae
gurez karte hain sae se bhi mere ahbab
kahin idhar bhi na ye aashufta-sar nikal aae
hua na koi bhi pursan-e-haal zindon ka
mare huon ke kai nauhagar nikal aae
rahe zara dil-e-KHun-gashta par nazar 'anjum'
usi sadaf se ajab kya guhar nikal aae
- Book : Dastavez (Pg. 34)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.