yahan to roz naya ek kamal hota hai
yahāñ to roz nayā ik kamāl hotā hai
javāb jis kā nahīñ vo savāl hotā hai
kuchh apne aap maiñ ḳhush haiñ kuchh apne aap meñ gum
malāl ye hai ki ham ko malāl hotā hai
tumhārī baat se sab muttafiq hoñ nā-mumkin
har ek shaḳhs kā apnā ḳhayāl hotā hai
amīr-e-shahr ko ab tak yahī hai ḳhush-fahmī
ġharīb-e-shahr kā maazī na haal hotā hai
asar 'farīdī' haqīqat hai ye fasāna nahīñ
uruuj jis kā ho us kā zavāl hotā hai
yahan to roz naya ek kamal hota hai
jawab jis ka nahin wo sawal hota hai
kuchh apne aap main KHush hain kuchh apne aap mein gum
malal ye hai ki hum ko malal hota hai
tumhaari baat se sab muttafiq hon na-mumkin
har ek shaKHs ka apna KHayal hota hai
amir-e-shahr ko ab tak yahi hai KHush-fahmi
gharib-e-shahr ka mazi na haal hota hai
asar 'faridi' haqiqat hai ye fasana nahin
uruj jis ka ho us ka zawal hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.