yahan zaban nahin khulti hai guftugu ke liye
yahāñ zabāñ nahīñ khultī hai guftugū ke liye
ye ḳhāmushī hai mohabbat kī aabrū ke liye
nigāh-e-shauq kī be-tābiyāñ ma'āz-allāh
ye ehtimām hai tajdīd-e-ārzū ke liye
bahār aa.ī hai lekin 'ajīb 'ālam hai
taras rahā huuñ tamāshā-e-rang-o-bū ke liye
tasallī-e-dil-e-sad-chāk ho ga.ī 'kāmil'
kisī kā tār-e-nazar mil gayā rafū ke liye
yahan zaban nahin khulti hai guftugu ke liye
ye KHamushi hai mohabbat ki aabru ke liye
nigah-e-shauq ki be-tabiyan ma'az-allah
ye ehtimam hai tajdid-e-arzu ke liye
bahaar aai hai lekin 'ajib 'alam hai
taras raha hun tamasha-e-rang-o-bu ke liye
tasalli-e-dil-e-sad-chaak ho gai 'kaamil'
kisi ka tar-e-nazar mil gaya rafu ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.