yahi bazm-e-aish hogi yahi daur-e-jam hoga
yahī bazm-e-aish hogī yahī daur-e-jām hogā
magar aaj kā tasavvur yahāñ kal harām hogā
maiñ kuchh is tarah jiyā huuñ ki yaqīn ho gayā hai
mire ba.ad zindagī kā baḌā ehtirām hogā
mirī ziist ik janāza hai jo rāh-e-vaqt meñ hai
jo thakeñge din ke kāñdhe to supurd-e-shām hogā
yahī hādsāt-e-ġham haiñ to ye Dar hai jiine vaalo
koī din meñ zindagī kā koī aur naam hogā
yahi bazm-e-aish hogi yahi daur-e-jam hoga
magar aaj ka tasawwur yahan kal haram hoga
main kuchh is tarah jiya hun ki yaqin ho gaya hai
mere baad zindagi ka baDa ehtiram hoga
meri zist ek janaza hai jo rah-e-waqt mein hai
jo thakenge din ke kandhe to supurd-e-sham hoga
yahi hadsat-e-gham hain to ye Dar hai jine walo
koi din mein zindagi ka koi aur nam hoga
- Book : Mera Kiya (Pg. 108)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.