yahi bekasi thi tamam shab usi bekasi mein sahar hui
yahī bekasī thī tamām shab usī bekasī meñ sahar huī
na kabhī chaman meñ guzar huā na kabhī guloñ meñ basar huī
ye pukār saare chaman meñ thī vo sahar huī vo sahar huī
mire āshiyāñ se dhuāñ uThā to mujhe bhī is kī ḳhabar huī
mujhe kyā agar tire dosh se tirī zulf tā-ba-kamar huī
ki maiñ aisā ḳhāna-ḳharāb huuñ kabhī chhāñv meñ na basar huī
tujhe faḳhr apne sitam pe hai ki asā-e-rāh-numā banā
mujhe naaz apnī vafā pe hai ki charāġh-e-rāhguzar huī
maiñ tirī balā se ujaḌ gayā tirā hausla to nikal gayā
ye baḌī ḳhushī kā maqām hai ki ye iid bhī tire ghar huī
yahi bekasi thi tamam shab usi bekasi mein sahar hui
na kabhi chaman mein guzar hua na kabhi gulon mein basar hui
ye pukar sare chaman mein thi wo sahar hui wo sahar hui
mere aashiyan se dhuan uTha to mujhe bhi is ki KHabar hui
mujhe kya agar tere dosh se teri zulf ta-ba-kamar hui
ki main aisa KHana-KHarab hun kabhi chhanw mein na basar hui
tujhe faKHr apne sitam pe hai ki asa-e-rah-numa bana
mujhe naz apni wafa pe hai ki charagh-e-rahguzar hui
main teri bala se ujaD gaya tera hausla to nikal gaya
ye baDi KHushi ka maqam hai ki ye id bhi tere ghar hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.